Tuesday, October 7, 2014

Chahte hai hum



CHAHTE HAI HUM


Wo Purane Dino me vapas jana Chahte hai hum,
Hatho me hath liye sath chalna Chahte hai hum,

Khushiya hi Khushiya thi har Pal me,
Har wo Pal vapas Jeena Chahte hai hum,

Pura Din nikal jata tha Ek duje ko tang karne me,
Vapas usi tarah aapko tang karna Chahte hai hum,

Din-O-Raat Baatein karte the hum ek duje se
fir bhi baat khatam na hoti thi,
Ek baar fir se aesi baatein karna Chahte hai hum

Har roj Ghumna firna, har roj Masti karna,
Us sunehre Mausam me kho jana Chahte hai hum,

Kabhi Ruthna Kabhi Manana
Kabhi Choti Baaton me Gussa karna,
Un Jagdo me bhi Beinteha Pyar tha,
Us Pyar ka Deedar karna Chahte hai hum,

Hamari Choti Choti Baaton ka khayal rakhna,
Hamari Galti hone par Bado ki tarah Daatna,
In sab me Jo Pyar jhalakta tha,
Wo Pyar Mehsus karna Chahte hai hum,

Chahne ko to Bahut Chahte hai hum,
Par kuch is tarah se juda ho gaye hai hum,

Pyar to karte hai par jata nahi sakte,
Kitne Akele hai hum ye bata nahi sakte,

Sun to sakte hai par dekh nahi sakte,
Aapke bina hum Akele reh nahi sakte,

Chahate to itni hai ki Gina nahi sakte,
Kab ye Puri hogi ye bata nahi sakte,

In sabse alag,
ek sabse badi Chahat hai Hamari,
Ki aap Jaldi ho paas hamare
Aur Khushiyo se bhar jaye Duniya Hamari


1 comment:

huzefa said...

i wish to get back too

No words to praise