Monday, October 13, 2014

Koi Nahi Aata


“Koi nahi aata”

In aankho se behti dhara ko pochne koi nahi aata
Is dil ke darwaze pe dastak dene koi nahi aata

Dard se bhara ye Dil rota hai har pal
Magar is dil ko samjane koi nahi aata

Sab kehte the bahot pyar karte hai hame
Aaj hum thoda ruthe to manane koi nahi aata

Kabhi na sath chodne ka wada kiya karte the sab
Aaj jab hum akele hai to sath dene koi nahi aata

Jeete hai hum mar mar ke, marte hai hum jee jee ke
Fir bhi mera haal puchne koi nahi aata

Chahta hu chor chala jau in sabhi rishto ko
Par kabhi na bhula paunga in sabhi cheezo ko
In sabhi yaado se bani hai meri zindagi
Kaise chor chala jau me ise, ye mujhe nahi aata


No comments: